Aaj is maha shivratri ke paavan parva pe main aapko shiv tatva se avgat karvata hun. Shiv tatva param satya aur tej punj jyoti hai. Shiv ka na hi janm hua hai aur nahi kabhi unka ant hota hai. Shiv puran ke anusar shiv woh hai jo jagat utpatti ke samay brahma ban ke is sansar ka nirman karte hai, wohi prabhu shree lakshmi narayan ban kar is jagat ka lalan palan karte hai aur jab brahmand ki avdhi ki samapti ke bad wohi shiv maha rudra bankar sabhi pavitra aatma aur vedo ke apne me sametkar is pruthvi ka lay karte hai.
Hamari samajh ke anusar yeh tino tatva alag alag hai par yeh tino ek hi tatva hai par swarup bhinn hai aur unke karm alag hai. Sant tukda ji ne kaha hai ki " Har Desh Me Tu, Har Bhesh Me Tu, Tere Bhinn Swarup, Tu Ek Hi Hai. Teri Rang Bhumi, Yeh Vishwa Bhara, Har Khel Me Tu, Har Mel Me Tu ".
Aaj ke is paavan parva pe kahte hai ki shiv pooja ka bada anokha mahatva hai par sahi arth me dekha jaaye to kisi bhi Vishwa vastu ya kaamna ki prapti ke liye kiye jaane wale karma ya pooja kabhi utna fal nahi dete ki jitna apne aap ko samarpit karne ki iccha se bhagwat karma kiya jaye kyuki uska fal aluakik sukh hota hai. Alaukik ka arth woh ki jo is lok ke nashvant sukh se pare hai.
Shiv ki pooja ka koi nischit samay ya anusthan ki aavshyakta nahi bas kisi bhi waqt sacche man aur shraddha se us shiv ka sumiran karo. Shiv mahimna stotra me kaha hai ki " om " se bada aur koi mantra nahi hai bas us mantra pe vishwas kare aur shiv kahte hai ki tum chahe paavan ho ya apaavan, tum ganga jal ka pan karne wale ho ya chahe madira/rakt pan karne wale ho bas ek bar meri sharan me aa jao, main sabka swikar karta hun to bas sab kuch bhul kar us shiv ke sharan grahe aur unka sumiran nirantar karo.
!! Shree ramay Shree krishnay Namah !!