Monday, 31 December 2012

Paayoji Maine Ram Ratan Dhan Paayo

Paayo Ji Maine Ram Ratan Dhan Paayo ! Paayo Ji Maine Shyam Ratan Dhan Paayo !!

Kevat Bani Guru Paar Lagayo, Alaukik Prem Pragtayo ! Paayo Ji Maine Ram Ratan Dhan Paayo !!

Jaako Pake Mad Nahi Aave, Anant Sukh Man Ne Paayo ! Paayo Ji Maine Ram Ratan Dhan Paayo !!

Kharche Na Khute Chor Na Lute, Baanten Se Badhe Sawayo ! Paayo Ji Maine Ram Ratan Dhan Paayo !!

Jin Ne Bhagti Ko Setu Banayo, Tinhi Ne Ratan Dhan Paayo ! Paayo Ji Maine Ram Ratan Dhan Paayo !!

Sunday, 30 December 2012

Vishwas Ki Gagri

Shiv hai vishwas ka prateek aur isiliye ved bhi kahte hai ki " gauri shankar - shradda vishwas rupino " shiv shankar ke dharma patni gauri shradda ka prateek hai aur bholenath vishwas ke prateek hai.

Sach kahu to hum log shraddha aur vishwas ke bich ka antar jaante hi nahi hai, kabhi hum kahte hai ki hume samne wale insaan pe bahot vishwas hai aur kabhi kahete hai ki hume us par badi shraddha hai. Ek sidhe aur saral udaharan ke maadhyam se hum uska antar samajhte hai.

Vishwas yani surya ki jo hamesha ek samaan rahe aur kabhi uska prakash kam na ho. Shraddha yani hand ki jo kabhi purna tah prakash may hota hai aur kabhi purna tah prakash vihin hota hai.

Vishwas purna tah tab kaha jaata hai jab shanka ya kushanka ek pal ke liye bhi hame na sataye. Waise hi jaise ki suraj nikalne ke bad andhera bilkul khatam ho jaata hai.

Aise hi ek vishwas ki paripurna pratik rupi ek param krishna bhakt hue the gujarat ke junagadh ke kshetra me, unka naam tha sant narsinh mehta, unka vishwas itna prabal tha aur prabhu shree krishna ki bhi itni param krupa se bhagwan shree krishna ne unke 52 kam apne shree hast se kiye the aur yeh is kaliyug ki hi bat hai, kareeb 400 saal pahele ki hi baat hai.

Aisa hi kuch vishwas sant shree tulsidasji ko tha prabhu shree ram pe tha ki jinke atut ke vishwas ki wajah se, swayam shree kesri nandan pavan putra ne unhe darshan diye, swayam satya rup avdesh raghupati raja ram ne unhe darshan diye, unke shabd aur vishwas ke khatir shree ram ne ek mare hue insaan ko jivit kiya, ek raaja ko uski ahankar ki saza aur tulsidasji ko bandi banane ki saza ke liye mahel chodne pe majbur kar diya, aur to aur jab ayodhya ke mahant ne tulsidasji ke shree ram charit manas granth ko churane ke liye chor ke bheja tab prabhu shree ram aur prabhu shree lakshman ne unki kutiya ke bahar pahera deke raksha ki.

Shree ramay Shree krishnay Namah

Thursday, 27 December 2012

Man Melan Ko Chod Dai, Tan Melan Jehi Dhoi ! Kahe Saw Tehi, Brahma Ras Bhog Sake Nahi Soi !!

Is upar likhe hue sandarbh me kai bade santo ne apne vichar pragat kiye hai, unme se kuch yaha likhe gaye hai taki unke arth aur di gai sheekh aap acche se samajh sako.

Sant Kabirji ne kaha hai ki " Kabira man nirmal bhayo jaiso ganga nir, piche piche har phire kahat kabir kabir " iska arth hai ki jab mera man ganga nadi jaise nirmal aur pavitra hua, jo na sirf khud nirmal aur pavitra hai par apne paas aane wale har kisi ka man pavitra aur nirmal kar dete hai, jab aisi pavitrata aur nirmalta ki mere man me tab tarang chali tab swayam bholenath bhi mere piche piche dhod ke mujhe pukar rahe hai.

Sant Tulsidasji ne kaha ki " tulsidas man nirmal bhayo toh tirth ya tir gayo na gayo " iska arth hai ki jab aapka man nirmal aur pavitra Ho jaye to aap kisi tirth jao ya na jao koi fark nahi kyuki phir sabhi tirtho ke adhipati aur chaud brahmand ke natal aur adhipati swayam aapke man me sthaan grahan karte hai.

Is vishay ki rachna sirf isiliye hui hai ki agar sansaar ka saccha sukh paana hai to prabhu Milan ke kiye kuch prayaas karo, karyarat bano, unmat bano kyuki sansaar ka koi bhi sukh hamare man ko kuch pal se jyaada shanti aur aaram nahi de sakta aur uske aasakt hone ke bad sirf dukh hi milta hai.

Sansaar ke sab sukh ki shuruvat kuch pal ke man ke anand se hoti hai aur uska ant hame dukhi kar deta kyuki woh sab sukh naashvant hai, agar chahte ho ki kabhi aapke man ko dukh na mile to us akhand anandrupi param aatma se pyaar karo, sansaar ke sukho se nahi.

Shree Ramay Shree Krishnay Namah

Friday, 21 December 2012

Ram Raj Mani Raja

Raam Raj Mani Raaja, Bhajte Hai Naam, Dhyaan Tum Dijo !
Bahv Sagar Ke Tum Ho Khevaiya, Bhav Mahi Par Utar Mohi Lijo !!

Jag Ke Kaaran, Bhav Bhay Taaran, Moh Nivaran Gyaan Mohi Dijo !
Raam Raj Mani Raaja, Bhajte Hai Naam, Dhyaan Tum Dijo !!

Sat Ki Sawari, Sab Ghat Vasi, Adham Udharak Mukt Mohi Kijo !
Raam Raj Mani Raaja, Bhajte Hai Naam, Dhyaan Tum Dijo !!

Karm Adhikari, Bhagat Bhayhari, Kam Nivari Bhagat Mohi Kijo !
Raam Raj Mani Raaja, Bhajte Hai Naam, Dhyaan Tum Dijo !!

Govardhan Dhari, Krishna Murari, Main Balihari, Sharan Mahi Lijo !
Raam Raj Mani Raaja, Bhajte Hai Naam, Dhyaan Tum Dijo !!

Mere Ram


Nam Tumhara Aaye, Man Pulkit Ho Jaaye Ram, Mere Ram.
Nam Tumhara Aaye, Mori Sudh Budh Kho Jaye Ram, Mere Ram.

Bheegi Najariya, Khoje Savariya, Tum Bin Chain Na Paave Ram, Mere Ram.
Nam Tumhara Aaye, Nain Mere Bhar Aaye Ram, Mere Ram.

Moh Nagariya, Sab Khoye Savariya, Bhram Fir Kaun Chhudaye Ram, Mere Ram.
Nam Tumhara Aaye, Fir Ant Na Mujhko Daraye Ram, Mere Ram.

Vyapi Hai Hinsa, Chahu Dishiyan Ma, Sab Bidhi Prem Bhulayo Ram, Mere Ram.
Nam Tumhara Aaye, Tuhi Fir Prem Samujhaye Ram, Mere Ram.

Simte Sakal Gun Kanchan Maahi, Kehi Bidhi Satya Pujaye Ram, Mere Ram.
Nam Tumhara Aaye, Sat Ki Raah Dikhaye Ram, Mere Ram.

Raag Dwesh Mahi Lipti Hai Kaaya, Kis Bidh Tujhko Paaye Ram, Mere Ram.
Nam Tumhara Aaye, Tuhi Anuraag Pragtaye Ram, Mere Ram.

Chod Sakal Mad Moh N Maaya, Keval Tujhko Hi Dhyaae Ram, Mere Ram.
Nam Tumhara Aaye, Bhav Bandhan Na Bhaaye, Mere Ram.

Bhagat Sakal Bidhi Tohi Pyaare, Kyun Phir Mujhko Sataye Ram, Mere Ram.
Nam Tumhara Aaye, Bas Tu Mujhko Apnaaye Ram, Mere Ram.

Kar Nek Amal Aur Hari Ko Simar

Kar Nek Amal Aur Hari Ko Simar, Utpat Na Kar Utpat Na Kar !
Yeh Janam Tujhe Anmol Mila, Ise Barbad Na Kar Barbad Na Kar !!

Tu Bhatakta Hai Jise Paane Ko, Woh Hari Har Tere Man Me Basa !
Jara Jhaank Le Tere Man Me Bhi, Anjaan Na Ban Anjaan Na Ban !!

Kar Nek Amal Aur Hari Ko Simar, Utpat Na Kar Utpat Na Kar !
Yeh Janam Tujhe Anmol Mila, Ise Barbad Na Kar Barbad Na Kar !!

Maalik Ne Pura Vishwa Racha, Tujhko Bhi Racha Mujhko Bhi Racha !
Tu Raaj Bana Main Rank Bana, Abhimaan Na Kar Abhimaan Na Kar !!

Kar Nek Amal Aur Hari Ko Simar, Utpat Na Kar Utpat Na Kar !
Yeh Janam Tujhe Anmol Mila, Ise Barbad Na Kar Barbad Na Kar !!

Wednesday, 19 December 2012

Raghuveer Gun Kimi Sakhe Bakhani

Ved jise neti neti kahte hai yani ki ram swaroop aisa ya vaisa Koi dradh hokar nahi kahe sakta kyuki tulsidasji kahte hai '' ram swaroop tumhar, drashti agochar buddhi par '' yani yeh hamari drashti use jaan ya pahechan nahi sakta, aur yahan tak ki hamari buddhi unke swaroop ko samajh bhu nahi sakti, woh hai ram tatva.

Isiliye kahte hai ki " nigam neti shiv ant na paava " Ved aur swayam prabhu shiv bhi unke guno ka bakhaan nahi kar sakte.

Ramayana ke yuddh ke dauran jab indrajeet ko shree lakhan lalji ne mara tab uski dukhi patni ko raavan ne kaha ki jao shree ram ke darshan kar aao taki man ko aaram milega tab indrajeet ki patni ne kaha ki main itni sundar hun aur waha Sab dushman honge aur kuch galat hua toh ? Tab raavan ne kaha ki nahi aisa kuch nahi hoga kyuki main ram ko jaanta hun woh to " shruti setu palak ram " Ved ka saar hai aur phir indrajeet ki patni ne shree ram ke darshan ko prasthan kiya.

Jiske bakhan uske dushman kare wohi sacche bakhan hote hai, apne najdik ke log to bakhan karenge hi hume prasaan karne ke liye par woh sacche bakhan to woh kahlate hai jab koi dushman aapke bakhan kare.

Shree ramay Shree krishnay Namah

Wednesday, 12 December 2012

Praan aur Prakruti

Kai logo ko aisa kahte hue suna hoga ki praan aur prakruti ek saath hi jaate hai, iska matlab ki insaan apni manovruti, chize dekhne ke najariya aur janm se mile sankaar kabhi chod nahi sakta par ha unhe daba jarur sakta hai par ek waqt ke bad woh wapas jarur aata hai.

Aisa hi ek ghatna kram Ramayana me bhi hua hai. Kaikeyi ji ke saath, unke janm ke sanskar tyaag aur samarpan ke nahi the par ayodhya aane ke bad unme tyaag aur samarpan ke sanskar bharne lage par ek waqt aaya tab unke janm ke sanakar fir bahar aaye aur ramji ka vanvas hua, yeh prabhu ki leela hi thi par hum sab ke liye yeh ek updesh ke bhaanti hai.

Jab tak hum apne vicharo me parivartan nahi late aur apni prakruti pe niyantran nahi rakh sakte tab tak hum us param saadhya ko nai paa sakte aur to aur roj ke jivan me bhi bagair matlab baadhayen khadi karte rahenge.

Isiliye hamare yahan rivaaj hai ki santo ya ghar ke bade logo ke charan chute hai aur aashirvad lete hai taki hamari buddhi me parivartan aaye.

Om namo bhagwate vaasudevay

Saturday, 8 December 2012

Bhagat Rakshak

Jiski Raksha Kare Swayam Sudarshan Dhaari, Us Ambrish Ko Kaun Sake Mari.

Raja ambrish ke ghar ek din rushi durvasha padhare jo muni atri aur anshuya ji ke putra hai, wohi anshuyaji ki jinke paas se mata sitaji ne naari dharma ka bodh liya tha.

Durvasha muni ka swagat kiya rajan ne aur unhe bhojan ke liye nimantrit kiya par rushiji ne kaha ki rajan meri pratah sandhya baki hai to main woh puja kar ly uske bad saath me bhojan grahan karenge so rajan ne uska swikar kiya par us din rajan ka ekadashi ka vrat tha aur vrat ke niyam anusar unhe pratah sandhya se pahele Ann grahan karna tha par rushiji sandhya karne me itne tanmay hue ki samay ka dhyaan nahi raha.

Us tarag rajan intezar kar rahe the aur socha agar akele bhojan grahan karu to rushi ka apmaan hoga aur bhojan na karu to vrat bhang hoga tab unke purohiji ne kaha ki rajan sirf jal grahan kar lijiye, is se na rushi ka apman hoga aur nahi vrat bhang hoga aur rajan ne vaisa hi kiya.

Is taraf sab surya dev sir pe aaye tab rushiji ko samay ka dhyaan hua or woh badi teji se mahel ki taraf gaye aur socha ki rajan ne vrat khol ke akele ki ann grahan kar liya, yeh sochke rushiji bade krodhit ho gaye, rajan ne kaha ki muni maine sirf jal hi grahan kiya hai par rushiji apne krodh ke aage aashakt ho chuke the aur krodh me shrap dene ke liye utaru hue tabhi prabhu shree Vishnu ke sudarshan chakra bheja aur rushiji dar ke vaikunth pahoche aur apni galti ki maafi mangi tab prabhu ne kaha ki jis rajan ka apradh kiya us rajan se maafi mango.

Is tarah jab bhakt ka bina kisi galti koi akalyan karta hai ya karne ki soch rakhta hai tab prabhu ka sudarshan chakra uski raksha karta hai.

Wednesday, 5 December 2012

Anandmayi Man

Anandmayi man ki stithi gahere sagar ke tale par raheti shanti ki tarah hai, jaise hamare sant hote hai, upar se ekdam lahero se bhare hue sagar ki tarah aur bhitar sagar ke tale par prapya hone wali shanti ki tarah ki jisme agar koi patthar fenko to bhi uski paristithi me koi fark nai padta.

Jiv ki stithi ek simit talab ki tarah hoti hai ki jisme aantrik aur bahya paristithi ek saman hoti hai ki jisme agar ek patthar feko to dard rupi tarang uthti hai ki jo kinare par jake laut kar wapis dukh hu lati hai aur sagar ki tarang to uske tale jo shanti hai uski prashannta ka ahesas dilati hai uske tale par aane wali yani ki khud ke sansarg me aane wali har chiz ko apne me sama lekar, use apne tale me le jati hai par anand ka ahesas dene ke liye.

Shree ramay Shree krushnay Namah

Monday, 3 December 2012

Santoshi Jivan

Ek bar ki bat hai maharashtra ke ek chote se gaanv me vithhal prabhu ke mandir me ek satsang sabha hui, jaha eknathji, tukaramji aur narsinh mehta jaise sant ektrit hue the. Satsang se pahle bari bari yeh sant prabhu ki murti ke darshan karne gaye.

Eknathji ne darshan karte hue kaha ki prabhu aapne jo diya usme mujhe santosh hai, meri patni puri grahsthi sambhalti hai aur mujhe paap karne se rokti hai aur bhakti me mujhe sahayak hoti hai.

Tukaramji aaye aur unhone darshan karte hue kaha ki prabhu aapne jo diya usme mujhe santosh hai, meri patni ka ek pal bhi mere saath jaghda kiye bagair nahi jaata aur isiliye main pura din pahado me raheta aur aapki bhakti karta hun, mujhe ghar jaane ki iccha nahi hoti aur mera sumiran bana raheta hai.

Narsinh bhagat aaye aur prabhu ke darshan karte hue kaha ki prabhu aapne Jo diya usme mujhe santosh hai, meri patni parlok siddhar gai aur ghar bas aap aur main akele hote hai to har samay aapka kirtan hota raheta hai.

Moral of the post is ki jo chiz ya sukh aapke paas nahi hai usko paane ki andhi dod lagane se bahetar hai ki jo mila hai usme santosh mano aur prabhu ka gungan karo, isi me jiv ki dhanyta hai.

Shree ramay Shree krushnay Namah

Saturday, 1 December 2012

Shree Govind

!! Shree Krishna Govind Hare Murari He Naath Narayan Vaasudevay !!

Jaise mujhe soch aai ke -

!! Govind Govind Har Har Koi Kahe, Govind Paayo Na Koi, Jine Govind Jaanyo Govind Ho Jaaye Soi !!

--- Govind nam sab pukarte hai par kisi ne use paya nahi aur jisne use paya hai fir woh khud govind ho jaata hai.

Jaise gitaji me likha hai ki kai yugo ke bad koi ek paaya karta hai aur jo paata hai woh khud govind ho jaata hai.

Jaise tulsidasji ne kaha hai ki,

!! Jaanyo tumhi, tumhi hoi jaaye !!

Jo tumhe jaan leta hai woh phir tum mayi ho jaata hai, tumsa ho jaata hai, phir woh tumse juda nahi rahe paata.

Bolo... Shree ramay Shree krishnay Namah.

Thursday, 29 November 2012

Param Prakash Satya Rup

Varna ki asamanta se upar jo hai, raag dwesh kaam lobh krodh in sab se jo pare hai wohi hai param prakash rup aatma jise yogi nirakar bramh kahte hai aur jise bhakt bhagwan kahte hai.

Kisine bahot sundar kaha hai ki gujarati bhasha me ki,,

Krodh jena chit ne sadgavi na sake, lobh no faanso jena gada ma pade nahi ane naari na nayan baan jene vage nahi e to bijo ram che.

Bat to sirf ke hi hai ki kaam, krodh aur lobh se dur raho aur khud ko us param satya ko prapt karo par aaj kal har kisi ko tap ki wajah short cut chahiye, kal hi suna thi agar apne parivar ki tandurasti yani good health chahte ho to 2 raste hai ya to bhgawan ki Bhakti kar ke vardan prapt karo ya fir HDFC ka insurance policy le lo.

Is jamane me har koi sundarta ka diwana hai, baahya sundarta se rajo vruti nirman hoti hai aur satva gun ko samapt kar jiv ko andhkar me le jati hai par Jata yeh soche ke jis ne itni sundar shrushti ki rachna ki, itne sundar insaan banaye woh khud kitna sundar hoga, kahte hai ke karta ke gun karya me aate hai, prabhu karta hai aur jagat karya tabhi yeh shrushti itni sundar hai to prabhu kitne sundar honge.

Agar sundarta se lagaav hai to prabhu ki sundarta me man sthir karo kyuki manushya ki sundarta to laukik aur nashvant hai ki jiske na milne ya bichad jaane se insaan dukhi hot hai to ab charan grahe us param prakash rup sundar param aatma ka.

Shree ramay Shree krishnay Namah

Wednesday, 28 November 2012

Jivan - Ek Swapna

Yeh jivan ek khwaab jaisa hai ki jiska asliyat me koi fark nathi padta. Kuch swapna lambe hote hai samay ke anuman me aur kuch swapna chote hote hai, waise hi ki hai jaise kuch logo ka jivan chota hota hai aur kuch ka jivan ek lambe arse tak chalta hai.

Ab soch ki bat hai ki is swapna ki paribhasha ka jivan se kya len den hai. Jarur hai aur mano to iske alava aur kuch nahi.

Ek drashtant hai ki jab Shree ram prabhu sitaji aur lakhan lalji ke sath vanvas gaye aur jab vanvas ki paheli rat bhil prajati ke ek gaanv me rule the tab bhil nagar ke raja ne rat ke samay lakhan lalji se vanvas ke bare me bat ki karan pata karne ke liye. Shree ram prabhu so rahe the darbh ki pathari par fir bhi unke chahere ki prasannta dekh kar gruh ne lakhan lalji se pucha ki mahel me motiyon ke bich sone wale prabhu jab aaj darbh pe soye hai tab bhi prassan lagte hai aur hum jag rahe hai to bhi dukhi hai.

Tab lakhan lalji ne kaha ki prabhu jaante hai ki jivan me aane wale sukh dekh ka is aatma pe koi asar nahi hota kyuki woh to nitya hai, pahele bhi thi aur aage bhi rahegi par hum maya ke sansarg me aake jivan ka sach jan nahi sakte aur isiliye hi to prabhu apne shree mukh se bole hai ki '' namam le vanvas dukht'' yani mujhe vanvas ka koi dukh nahi hai kyuki woh mere sharir pe asar kar sakte hai aatma pe nahi aur sharir jo nashvant hai uski kya chinta karna kyuki woh aaj nahi to kal mit jaayega.

Isiliye sharir pe dhyan kendrit karne ki jagah aatma par dhyan kendrit kare kyuki wohi hume param shanti aur apaar sukh ki prapti karva sakta hai.

Shree ramay Shree krishnay Namah.

Tuesday, 27 November 2012

Bhakti Marg Bado Kathin

Insaan ko chahiye ki din me kuch pal sacche man se bhakti kare to man praffulit rahega aur sare kary anand may rahenge par hamare pas sacche man se bhakti karne ka waqt naahi, iska matlab Yeh nai ki koi bhakti nahi karte pan bat sacche man se bhakti karne ki hai. Jis tarah se lobh me man ekagra hota hai aur uske kary parinam najar nai aate waise hi ekagra aur sacche man se bhakti kar ke fal ki chinta mat karo, sab mangal may hoga.

Kuch baaten aisi hai ki jo thopi nahi ja sakti usi tarah bhakti karne ke liye kisi prerit kar sakte hai par thop nai sakte kyuki kuch chize purn tah pari pakva na ho to uske galat parinam bhi as sakte hai, jaise ki kisi kacche fal to tod dena aur use ghar pe lakar uske pari pakva hone ka prayas karna, woh fal pakega nahi par sad jaayega usi tarah andar se man jab tak andar se pari pakva na ho bhakti marg sulabh nahi.

Isiliye jab kisi sant se milo to woh bhi kabhi kisi ko bhakti karne ke liye aagrah nahi karte par sirf intezar karte hai ki jiv ke man me bhakti ka bij panpe fir sant us bij se podhe ko panap ne ke liye sahay karte hai aur uske jatan ka marg batate hai.

Bhakti marg to waise bhi bada kathin hai isiliye tulsidasji bada nyayochit bole hai ki ram bhakti karat kathinai.

Shree ramay Shree krishnay Namah

Monday, 26 November 2012

Santo ki Mahanta

Bharat vansh me jitne bhi mahan sant hue unme ek bat dekhi gai hai ki woh sab garib the, saral swabhav wale the, padhe likhe bhi nahi the to phir woh sant kaise hue ? Unhone antim saadhya mane jane wale prabhu ko prapta kaise kiya ? Aur apna jivan evam maran sufal kiya ?

Sabse paheli bat yeh samjhe ki hum sab prabhu ke hi ansh hai aur hum sab me prabhu ka koi na koi gun chippa hua hai. Hamare punya fal ki samapti ke bad hume is dharti pe janm lena padta hai aur phir se kathin tap or bhakti kar ke vaapis prabhu ke charan me jaana hota hai par maya ke sang me aake manushya yeh bhul jaata hai ki woh kaun hai ? uska janm kyun hua ? aur janm ke bad uska mukhya karm kya hai ?

Hamare sabhi sant yeh jaante hai aur isiliye unke paas hamare jaise bhautik shukh nahi hai par prabhu unke kam apne shree hast se khud karte hai aur aise ki jaise koi rahish bhi na kar sake. In santo ka sabse bada gun hai unki nir abhimanita, jaise sansar ko itna mahan granth dene wale sant tulsidasji kahte hai ki,

Jaaki Krupa Lav Lesh Te Mati Manda Tulsi Das Hun, Paayo Param Vishram RAM Samaan Prabhu Nahi Kahu

---- kahte hai ki prabhu ki Krupa se mujh jaisa matimand aaj tulsidas kahaye aur kaha ki prabhu ram jaisa koi nahi ki jinke sharan me aake mujhe vishram ki anubhuti hui hai.

Sant aur vishwa ke sabse bade daani krishna bhakta rahim kahte hai ki:

Devan Haar Koi Aur Hai Bhejat Jo Din Rain, Log Bharam Hum Par Kare Hai Tanso Niche Nain

--- sant rahim muslim hone ke bavjud bahot bade krishna bhakta the aur kaha ki daan jo logo ke meri aur se diya jaata hai khud ishwar mujhe dete hai taki me sab me baant saku par log mujhe daani samajhte hai jab ki main to ek nimit matra hun is liye daan dete samay meri najare niche jhuk jaati hai.

Shree ramay Shree krishnay Namah

Foreign Visitors

I've found that there are good number of visitors are from out of India so to them I would like to say that this blog is basically spiritual blog explaining Indian spirituality and way of living life according to the saints and also mentioned in Shree ramcharit manas, bhagwad geeta etc.

If it sounds interesting then let me know, will post the explanations in English language also.

Ahankar - Prabal Ripu

Jivan me se sirf agar yeh el chiz nirmul ho jaye to is duniya me dikhne wali aadhe se jyada taklif khatam ho sakti hai, aur sab se badi bat ki grahasthi sudhregi, daampatya jivan sudhrega to prabhu ke avtarit hone aur paap nirmul hone ki sambhavna badhegi.

Har koi puchte hai santo se ki aaj itna paap ka samrajya panap chuka hai to prabhu ka avtaar kyun nahi hota par avtaar kaise hai in gande aur paap se bhare hue grahasth jivan me.

Paap ko pushti milti hai ahankar se kyuki jab insaan ahankar me andha ho jaata hai tab use uski galti ka smaran nahi hota aur insaan ke pair paap ke dal dal me dhas jaate hai.

Duniya se paap mitane ho to shuruvat khud se kare. Jis rup me tum samaj ko dekhna chahte ho us rup me pahele khud ko dhalo aur jab yeh ho jaye tab dusro ko unke paap ka smaran karvao aur tum khud dekhoge ki tumhari vani ka prabhav unpe hoga.

Ahankar ko khatam karna bada jaruri pap ko mitane ke liye aur is ke liye bholenath ka sumiran karo, jitna bhajan prabal hoga utna hi ahankar dur rahega aur har taraf khushali aur prem najar aayega.

Shree ramay Shree krishnay Namah.

Saturday, 24 November 2012

Nirbhara Bhakti

Kabira man nirmal bhayo jeso ganga neer, piche piche har fire kahat kabir kabir.

--- Kabirji kahte hai ki mera man ganga ke pani jaisa nirmal aur pavitra hua to ab mujhe shiv ka sumiran karne ki aavshyakta nahi kyuki shiv mere piche piche fir rahe hai aur kabir kabir kahe kar mujhe apne paas bula rahe hai.

Yeh bhakti ki ucchatam bhumika hai ki jahan shiv jiv ke piche bhag rahe ho aur jiv ko apne pas bula rahe ho.

Yeh to aisi shreni me aata hai ki pyaasa kuve ke paas jane ki jagah aaj kuva pyaasa hai aur jiv ke paas jake use pani pilakar khud trupt hone ka gaurav prapt karna chahta hai.

Shree ramay Shree krishnay Namah.

Thursday, 22 November 2012

Naastikta se aastikta ki aur

Naastik manushya ko prabhu ke is jagat me birajman hone ya bhagwan jaisa kuch nahi hai aisa sabit karne ke liye bhi us satya aur param prakash rup aatma ki sharan grahni padti hai to is mat se is sansaar me koi nastik nahi hai.

Har manushya evam sansaar par rahne vale sabhi jiv shraddha mayi hai to naastikta ke hone ki bat ka samarthan kaun kare aur kaise kare ?

Aaradhna

Atulit bal dhaamam hem sheilabh deham, danuj van krushanum, gyaaninaam agraganyam sakal gun nidhaam, vaanranamdisham raghupati priya bhaktam vaat jaatam namami.

Om vishnu patyaie namasthubyam.

Om namo bhagwate vaasudevay.