Yeh thoda ras prad vishay hai ek aam najriye se par uske piche ka ek tathya hai jo shayad kai shaadi karvane wale pandito ko bhi pata nai hogi aur shayad ho bhi.
Shadi ki Pratha ke piche ka sabse bada aur mahatva purna karan hai kam ko baadhit karna. Jis tarah janeu sanskar ke piche ka karan hota hai brahmacharya ka paalan, usi tarah shadi ke piche ka karan hai hamare andar chipe hue kam ko baadhit karna taki hum vyabhichar na karne lage. Shadi ke dauran lagaye jane wale pahele 4 phere bada hi ghood matlab rakhte hai jo main yahan aapke samne rakhne ja raha hun.
1. Aaj se hum pati patni dharm ka paalan karenge aur ek dusre ko dharm marg se chalit hone se rokenge.
2. Aaj se hum shadi ke is pavitra bandhan me bandhe hai to hume artho parjan bhi karna padega, ghar chalane ke liye to hum dravya (paise) bhi kamayenge lekin dharma ki maryada me, yani ki koi paap ya adharma kar ke arthoparjan nahi karenge.
3/4. Aaj hum shadi ke bandhan me bandhe hai to hum sansar ke kam sukha ka bhi bhog karenge taki hamare sansar ki vruddhi ho lekin moksha ki maryada me taki hamari santati hamari uttarkriya kare aur hume moksh mile.
Aaj ke is jagat me sab yeh bhul chuke hai, sahi sukh aur shanti ki prapti ke liye iska palan jaruri hai.
Shree ramay Shree krishnay Namah !!